This site is about registered Softwares with some tricks about computer and learn all about computers

Facebook fan page

Tuesday, 7 July 2015

Seo Training In Urdu Complete Course

SEO Training In Urdu 


SEO STAND FOR Search engine optimization. Simple meaning apni site ky
visiter barhana.

P1
SEO aj kl ky dor main aik business, aik hunar aur aik fun bnta jara
hai. Web sites ka apas main compition barhta ja raha hai. companies
professional SEO masters hire kr rahe hain. Aur nai nai SEO krny wali
companies markeet main aa rahe hain. Seo krny ka basic maqsad visiters
aur customer barhana hai. Hm aik site bna lain likin us site ka kisi
ko pata nain hota hm adsence laga kr bhet jain aur intizar krty rahen
ky koi ai aur hamary adsence pr click kr dai. Its imposiable without
SEO.
SEO aik automatic machine ky jaisy hai. K bs aik bar chala dain aur
yeh sari umar chalte rahy ge. Han Grees tu waqfy waqfy sy dalne pary
ge. Likin baat sirf apni sites ke nahi hai. Compitition ke hai. Agay
barhny ke hai. Aur SEO krty rehny ke hai. Warna apke site bohat pechay
chale jai ge. Google ky 5th, 6th page pr ajai ge jahan koi jany ke
zehmat nain krta.

P2.
SEO yeh nain hai ky koi Google main apke site ka naam likhy woh aur
1st page pr ajai. SEO yeh hai k kisi bndy ko kisi software. Games,
book, ke zaroorat ho aur woh bnda google main woh software ka naam
likhay aur search Result main apke site, apka blog ajai. Ab sawal yeh
hai, ky SEO kaisy ke jai. Seo ka sb sy asan aur desi tariqa yeh hai ky
apko net main koi b site, forum, blog, mily jahan visiter sy  comments
dainy ko kaha jai. Apna site ka link wahan dai dain. SEO koi study
subject nain blky yeh Knowledge aur mind game hai. Mind hai tu ap SEO
Master. ;-)

P3
SEO ky 2 parts hain, internel Seo, aur external seo, internel seo main
Site ko Search engine kelye optimize krna hota hai aur external seo
main site ko search engine main optimize krna hota hai. Internal seo
main sb sy pehly domain ate hai. Domain aisa ho k simple, thora sa
differnt aur apky visiter ko yaad rehay. Isky bad site ka design aur
templates achay hon. Ziada gehry na hon. Aur flash b km use ho.

P4
Internal seo main next keyword aty hain. Keyword head main meta tag
main likhy jaty hain. Dunya main sb sy ziada aur commen keyword "free"
hai aur new internet user google main search b free ky word sy start
krty hain. Keyword apky site ke topic ky mutabiq hony chahye. Agar
apko keyword select krny main masla aa raha hon tu ap keyword
suggestion tool aur  software use kr skty hain, Seo elite,
wordTracker keyword tool, aur Good keywords best software hain.

P5
external seo main 1st step Top search engines main site ke submissions
hote hai. Jitny b auto visiter apke sites pr ain gain. Search engines
sy he ain gain. Aur Top search engine main 1st google ata hai. Google
main site submit krny kely www.google.com/addurl/
open kren. Url main apni site ka link, comments main site ke
discription likh kr add url pr click krdain. Ise tara
yahoo,(submit.search.yahoo.com/free/request) aur msn
(search.msn.co.in/docs/submit.aspx) main apni site ka link submit
kren. Site ke submition kelye isky ilawa b bohat sy software aur
websites hain. Jahan ap apni site ko submit krky apne site ke trafic
increas kr skty hain.

P6
best site sumbitting software webceo hai. Jo ap ap Webceo.com   sy
download kr skty hain. Isky ilawa submitexpress.com aur addme.com main
online apni site ko submit kr skty hain. Site submit hony ky 3, 4 din
bad apke site search engines main show ho jai ge. Site submition apke
site ko high trafic deny kelye kafi nain hai.
Blky is sy agay jahan aur b hain.
Islye site ko sumbmit krny ky bad aram sy nain bhetna blky SEO ky
dosry tariqon pr kam kren. Aur aik site ko bar bar submit krny pr
search engine apke site ko banned kr skta hai. Isky lye best way yeh
hai ky ap apny site ky pages aur directries ko submit kren. Aur next
2, 3 Month bad again submit kren.

P7
ab main apko mazed tariqay btata hon jis sy ap apny site ke trafic
increase kr skty hain. Sb sy pehly Backlinks. Backlinks ka sb sy best
tariqa yeh hai ky kisi Top ranking blog main ap comments dain aur sath
main details kelye ya software download kelye apny blog ka link dain.
Kuch Top ky IT Forums sites main blog ky link ko as a signature use
krna allowed hai ap wahan reply comments dain apky comments ky sath
apky signature b show ho jain gain. Aur signature main apny blog ka
pora link na dain, blky my blog ya simlpe m blog ka name likhen aur
usy apny blog ky link ky sath hyperlink kr dain.

P8
youtube pr video add krky b ap apni site ky visiter barha skty hain.
Apky pas agar unique sa software ho, jese sms bomber, sms caster, ya
koi ache se tips ya article jese adsence, Seo, web developdent,ya
Ghrapics ho. Usky bary main video bna kr usy upload kren. Aur video ke
discription main aur video main b, software downloading link aur
artical ka link apny blog ka dain.

P9
Social networks sites like facebook aur twitter sy b ap apni site ke
trafic kafi increase kr skty hain. Blogs, wordpress main fb aur
twitter ky Gadgets add hoty hain, jahan sy ap apne posting ko fb aur
twitter pr directly share kr skty hain. Fb main apny blog ky relatd
page aur group bnain aur wahan apni ache posting ky link share krty
raha kren. Aur fb wahan software request etc b pori kia kren. Html
site kelye b share this on fb and twitter ke coding mil jate hai.

P10
free books. Books parhny ka bohat sy logo ko kraze hota hai, Novel,
historical, programing book kelye bohat sy log searching krty rehty
hain. Aur khas kr pakistani net user urdu books search krty rehty
hain. Isly koshish kren k urdu books jahan sy b milain apni site pr
update krty raha kren. Ise tara latest Ragister softwares, games, aur
Latest Movies sy apni site update rkhen. Is tara apke site ko
parmanent aur daily visit krny walo ke ta'adad  barti jai ge.

P11
apni site ke advertisment krna. Olx.com.pk aise site hai. Jahan ap
apni products ke free main add dai skty hain. Agar apky pas koi
product hai uske detail kelye ap apni site ka link dain. Aur agar ap
ny apni site ko buziness point of view sy bnaia hai ya ap apni site,
blog ko sale krna chahty hain, tu olx main add dain.
Trafic increase krny ka aik tariqa yeh b hai k ap apny dost ky sath
usky blog pr link interchange kr lain. Ap unka banner apni site pr aur
apni site ka banner uske site pr laga lain.

P12
online article likh kr aur pdf main books likh kr ap apni site ke
trafic increase kr skty hain. Online kafi sites hain jahan article
likhay jaty hain aur log daily un article ko read krty hain. Kuch log
wahan sy article copy krky apni site blog pr copy paste krty hain is
tara article main apky blog ka link jo dia hota hai. Usy b log visit
krty hain. Yahoo answer  aik ilmi comunity hai, jahan hr topic pr
sawal aur jawab hoty hain. Ap wahan b apny blog ke add dain.

P13
mujay sb sy ziada torrent site sy trafic increat krny ka shok hai. Jb
b koi latest Movie ate hai. Main apny blog pr un Movies ka online aur
download link apny blog main search krky post kr daita hon. Aur
torrent site main apny blog ka Movie link share kr daita hon. Torrent
sy apko 50 visiter daily mil skty hain. Main ny apny blog main just 2,
3 Movies post ke then. Aur 300, 400 membrz aik week main a gai thai.

P14
SEO ka best way sms aur email markiting b hai. Sms markiting kelye sms
caster software, chopaal, ourvoice 7111 aur twiter sms service aur sms
signature hoty hain. Aur email markiting kelye bulk email sender jaise
software use hoty hain. Mery pas Pakhackerz.com main 2000 sy ziada
email adress ka data para hai. Isky ilawa ap google aur yahoo groups
sy b kafi logo ko email send kr skty hain.

P15
Apny dosto ko aur blog visiters ko apni posting aur alerts  send krny
kelye blog main feedburner ka Gadget use kia jata hai. Gadget main jb
visiter apna email id likh kr submit krta hai. Tu phr usy apke
posting, email ky  through chale jate hai. Isky lye Feedburner.com pr
jain wahan ragister ho jain. Wahan sy ap gadget ya coding apny blog
main laga lain. Jb ap koi b posting kren gain apke posting apky
subcriber ko auto email ho jai ge.

P16
Rss b feedburner ke type hai.. Rss alerts, toolbaar aur rss software
main show hoty hain. Yeh email sy fast hai magar ziada tr logo ko rss
recive krny ka nain pata. Geo, bbc news yeh b news alerts rss main b
daity hain. Rss ka software install krny pr tray icon jahan time show
hota hai news alerts ke updates auto show hote rehte hain. Aur ap jo
posting kren gain unko ose waqat rss main notification mil jai ga.

End....
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Optimizing a blog or website with search engine (Urdu)
Agar ap WebSite ya blog k Owner hai to apki ye khwahish hogi k apke blog ya WebSite ko log zyada Visit kary. Is k liye Aap ne kya krna hai..



Step-1

Web ya Blog ko Promote krny se pehle SEO (Search Engine Optemizer) ki Cource ka mushahida krna zaruri hota hai.



Step-2

Web ya Blog ki Traffic brhane k kai tariqe hai,  Pehla tariqa apne WebSite ya Blog ko Search Engine me shamil krna hai, Lekin is se pehle chand Settings krni zaruri hai, wo ye k apne Blog ya WebSite me META TAGS shamil krna hai..





Step-3

Aap ne blogger me Blog banai hai, to Aap easily apne Blog k Templete me META TAGS laga skte hai. Design Tab me ja kr Template me jaye waha Coding hogi us me

<Meta ...... Esa tag hoga us k niche ye like. <meta name="keywords" contents="yaha apne WebSite ya Blog k Keywords likhey" />



Step-4

Ab dusre Line me ye likey.

<meta name="description" content="yaha apne Blog k mutaliq kuch likhey." />



Step-5

Is k likne k bad Save pr Click kr k Blog ko View kary....



Step-6

In tmam Settings k bad ab Aap ka Blog/WebSite Search Engine me Add krne k qabil hogaya hai. Sub se pehle ise Google Search Engine me lagae

..



Step-7

visit: www.google.com/addurl/ is Page pe apne WebSite ka Name, apni Email or WebSite k mutaliq kuch likey or Submit button Click kary



Step-8

Yaad rakke k apki WebSite 1 Month k bad Add hogi is liye sabar karey. Google ahista ahista apke WebSite pe Crawling karega.
............End............





If You Like  The Post Then Comment

Share:

1 comment:


  1. Thanks for sharing excellent information. Your site is very cool . I am impressed by the details that you have on this site.
    SEO services pakistan

    ReplyDelete

Banner adz

Powered by Blogger.

Total Pageviews